Banjhpan (Infertility In Men) Aaj kal banjhpan ka masla kafi aam hai. 5 couples mein sey 1 couple iss ka shikar hai (Rashid Latif) iss mein kabhi mard mein problem hota hai aur kabhi aurat mein aur kabhi donon mein. Ek research kay mutabiq banjhpan kay responsible 33% mard hotey hain. 33% aurtein hoti hain aur 33% donon hotey hain. Mardon kay banjhpan ki ek hi wajah hoti hai. Innkay active motile sperms ki tadaad kam hoti hai. Mard kay ek baar discharge honay per mani (semen) ki miqdaar average 3.5ml hoti hai (mera ek patient ki miqdaar 8ml thee) jis mein 20 crore sey 1 arab sperms hotey hain. Average 40 crore sperm hotey hain. Mard ki body mein rozana 30 crore sperms bantey hain. Garmi aur zyada exercise sperms ki tadaad ko kam karti hai. Lekin agar 3 months garmi sey door raha jaey aur 3 month exercise na ki jaey to halaat normal ho jatey hain. Iss kay elawa shadeed beemari, sakht mehnat aur stress bhi sperms ki tadaad ko kam kartey hain. Computer per zyada der bethney sey bhi sperms ki tadaad kam ho jati hai. Bachey ki paedaesh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hai magar ek sperm ka fallopian tubes tak pohonchney kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Bohut sey rastey mein hi mar jatey hain aur bohut sey ghalat tube mein chaley jatey hain. 2 tube mein sey kisi ek mein egg hota hai. Yani bachey ki paedaesh kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Iss soorat mein amooman beti paeda hoti hai. Kabhi kabhi 2 crore sperms sey bhi bacha paeda ho jata hai. |
No comments:
Post a Comment