Leucorrhea |
Khawateen Kay Paet Aur Pistaan (Breast) Per White Lakeerein: Baaz khawateen kay paet aur (Breast) per white lakeerein parr jatin hain. Iss ki wajah yeh hoti hai kay mein aurat kay paet ki skin phael jati hai. Issi tarhan pistaan (Breast) ki bhi skin phael jati hai. Baaz aurton ki skin zyada lacahkdaar (elastic) hoti hai inn kay jism per lakeerein nahi parti magar aksar aurton ki skin zyada elastic nahi hoti jiski wajah sey skin phat jati hai aur phir bachey ki paedaesh kay baad yeh tears white lakeeron mein badal jatey hain. Yeh bhi ek normal process hai. Iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat nahi. (Zakir) Leucorrhea: Mardon mein ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein sey white pani ka discharge hota hai. Agar thora bohut white pani kharij ho to iss kay barey mein fikar mand honay ki zaroorat nahi kyun kay yeh ek bilkul normal aur aam discharge hai jisey Bartholian glands kharij kartey hain. Yeh discharge kisi soorat mein bhi nuqsan deh nahi aur waqt kay sath sath khud hi khatam hojata hai. Leucorrhea kay liye kisi qism ki dawa leney ki zarorat nahi. (Asif Mehmood: Mobeen) Taham agar pani ka discharge bohut zyada ho, thick ho yeh smelly ho to yeh usually vagina kay infection ki wajah sey hota hai. Yeh bhi koi khatarnak beemari nahi. Kisi achey doctor sey contact karein. Yeh bohut aasani sey theek honay wala masla hai.
|
Saturday, 13 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment