Pages

Friday, 26 August 2011

Pregnancy - Hamal

Mard jab 4, 5 days kay baad inzal hota hai to inzal honay wali mani (semen) ki miqdar ausatan 3.5 mili litres hoti hai. Iss mein ausatan 30, 40 crore sperms mojood hotey hain. Aulad ki paeda'esh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hoti hai. Magar iss kay liye zaroori hai kay mani (semen) mein kam az kam 2 crore sehat mand sperms mojod hun. Iss sorat mein sirf 2000 kay lag bhag sperm egg tak pohonchtey hain. Aur inn mein ek ovum ko bar awar karta hai. Aam halat mein 2 crore sey kam sperm hun to aulad paida nahi hoti, albatta test tube ki soorat mein 50,000 sperms sey bhi bacha paida ho jata hai magar iss tariqey ki kamiyabi ki sharah 25% kay lag bhag hai yeh amooman larkiyan hoti hain.

Bachey ki jald paeda'esh kay liye mubashrat (intercourse) ba'eza raezi kay qareeb ho. Ba'eza raezi ka waqt janney kay liye bazar sey ek khas test hasil kya ja sakta hai. Yeh test taqreeban 24 hours pehley bata deta hai kay ba'eza raezi kab hogi. Iss kay elawa agar rozana ya ek din chor kar mubashrat (intercourse) ki jaey to bhi first month biwi kay pregnancy honay kay 60% imkanat hotey hain. Mubashrat (intercourse) kay liye Missionary method use kiya jaey. Yani biwi neechey ho, iss ki kamar kay neechey takiya ho, mard ooper ho, dakhool deep ho, iss kay liye biwi ki taangein mian kay shoulders per hun, inzal kay baad mian zakar ko foran bahir naa nikaley, Warna mani (semen) ka bohut sa hissa faraj sey baher aa jaey ga jis sey sperm ki tadad kam ho jaey gi aur pregnancy ka imkan bhi kam ho jaey ga behtar hai kay zakar khud hi shrink ho kar baher aa jaey. Inzal kay baad biwi 30 minute sey 1 hour isi halat mein leti rahey. Iss tarhan mubashrat (intercourse) karney sey biwi kay pregnant honay kay imkanaat mein kafi izafa ho jata hai.

No comments:

Post a Comment