Pages

Friday, 12 August 2011

Painful Intercourse -Takleef deh Mubashrat

Mubashrat (Intercourse) Aik Takleef Deh (painful) Amar…..?

Azdwajii zindagi ki buniyad mubashrat (Intercourse) hai. Allah kay nabbi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nai jaiz tareeqai sey jinsi khwahish ki takmeel ko sadqa aur naiki qarar diya hai. Jiska zojain ko sawab milta hai. (Sahi Muslim)

Pakistani muashrey mein yeh bat bohut famous hai kay khawateen kay liye mubashrat (Intercourse) aik bohut painful amal hai. Jiski wajha sey aksar khawateen jinsi amal sey khauf zada hoti hain. Yeh khawateen mubashrat (Intercourse) sey lutf andooz nahi hotin aur apnai husband kay sath cooperate nahi Karti. Jo biwi mubashirat mein apnai husband kay sath tawun na karai Allah kay nabbi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ershad kay mutabiq fareshtai sari rat usper lanat bhaijtain hain. (Muslim, Bukhari, Nesai)

Buniyadi tor per mubashrat (Intercourse) husband wife dono kay liye bohut hi lutf aur sukoon daina wala amal hai. Quran mein ershad hai "Esnai tumhari hi jins sey tumharai liye jorai paeda karai taqai enkai sath milkar tum sukoon aur etminan hasil karoo" (Surah Rom Ayat 21)

Agarcha shuru mein aik aad bar hymen kay rupture honay ki wajha sey khawateen ko kuch pain hota hai. Albatta baaz khawateen ko mubashrat (Intercourse) mein takleef (pain)hoti hai jo kay aik beemari hai jissai Dyspareunia kaha jata hai. Eski wajha ya to mubashrat (Intercourse) ka khauf hota hai yeh phir wajaina mein infection waghaira. Baaz auqat aurat mubashrat (Intercourse) kay liye puri tarhan tayar nahi hoti jiski wajha sey iss kay vagina mein lubrication nahi hoti. Chunancha aurat mubashrat (Intercourse) mein takleef mehsoos karti hai .

No comments:

Post a Comment