Pages

Saturday, 13 August 2011

Leucorrhea Treatment

Neem hakeem leucorrhea ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat, constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah sey farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein.

Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai auri (menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.

No comments:

Post a Comment