Premenstrual Syndrome - Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan |
Jin larkiyon ko shuru shuru mein mahwaari (menses) sahi time per nahi aati hai inko bhi kuch arsey kay baad khud hi mahwaari (menses) sahi waqt per aur regular honay lagti hai. Baloghat kay ibtidaee daur mein mahwaari (menses) usually irregular hoti hai. Agar mahwaari (menses) mein bohut zyada irregularity ya khoon flow ho ya khoon ka ikhraj bohut zyada miqdar mein honay lagey to kisi achey doctor sey contact karein. (Kawal Dheer) Menstrual cycle mamooli diseases maslan flu waghaera sey disturb ho jata hai. Iss tarhan tension, udaasi, depression, anxiety, stress, khauf, trauma aur kharab general sehat ki wajah sey bhi disturb ho kar band ho jata hai. Lehaza inn dino aap ki sehat achi honi chahiyie aur aap ko zehni tor per pur sukoon hona chahiyie. Menstrual cycle kay doran aurat kay mood mein changes (premenstrual syndrome) aati hain maslan kay waqt aurat ka mood positive hota hai. Iss ka self confidence aur self esteem urooj per hotey hain. Magar mahwaari (menses) sey 2 ta 7 din pehley mood negative ho jata hai. Iss doran khawateen ki big ta'adad 75% sey bhi zyada tension, depression, anxiety, irritability, thakawat, death aur paralyze honay ka shadeed khauf mehsoos karti hain. |
Friday, 12 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment