Jinsi Mughalitey
Masail Aur Unka Hal
Baloghat kay waqt bachon kay jism mein bohut si jismani tabdeeliyan aati hain. Maslan zer e naaf baalon ka aajana, larkon ko shahoot ka zyada aana aur phir shahoot ki wajah sey zakar sey laesdaar liquid ka kharij hona. Jins e mukhalif ki taraf kashish mehsoos karna, larkon ko ehtelam aur larkiyon ko mahwari ka khoon aana waghaera. Aksar naujawano'n ko shak hota hai kay yeh tabdeeliyan normal hain ya abnormal. Badqismati sey humarey naujawano'n ko iss silsiley mein durust ma'aloomaat nahin miltiin chuna'ncha neem hakeem aur deewari ishtehaaraat ki ma'aloomaat ki wajah sey aksar naujawan inn fitri tabdeeliyon ko khatarnaak jinsi aur jismani beemariyan samajh letey hain aur phir pareshan ho jatey hain. Iss pareshani aur zehni daba'u (stress) ki wajah sey woh mukhtalif nafsiyati aur jismani beemariyon ka shikar ho jatey hain maslan yeh naujawan amooman depression ka shikar ho jatey hain. Iss marz mein fard shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karta hai, iss ka kisi cheez mein dil nahin lagta, kuch karney ko dil nahin karta, tanhaee pasand ho jata hai, uski neend urr jati hai, bhook khatam ho jati hai wazen kam ho jata hai. Fard kay jism kay mukhtalif hisson mein dard honay lagta hai aur phir usey yaqeen ho jata hai kay usey waqaee koi khatarnaak beemari lag gaee hai. Phir yeh naujawan kisi neem hakeem kay hutthey charh jatey hain jo unhein batatey hain kay unko koi khatarnaak qism ki jismani aur jinsi beemari lag gaee hai.
No comments:
Post a Comment