Light music: asal maqsad yeh hai keh ap ki batain koi aur sun na sake. agar ap samajhte hai keh ap ko kisi shareer cousin se wasta nahi pare ga. ap aur ap ki guftagoo ka pitch etna kam hoga keh awaz bahir nahi jai gi tu phir music lagane ke zaroorat nahi hai. lekin shadi ke ghar mai sharir cousin and friends gugtagoo sunna fun samajhte hai aur behtar hai ke music ke noise se apni awaz ko bahir jane se roke.
2. Dialogue of suhagrat: dialogue likha nahi jasakta. har admi ka alag dialogue hota hai. yaha par dialoge ki ahmiat aur os ka maqsad bian kia gia hai. moqa ke lihaz se faisla karna hai keh ap ne kia kahna hai. love marriage wali wife se jo dialogue hoga woh arrange marriage wali se mukhtalif hoga. rishtadar wife se jo dialogue hoga wo ghair rishtadar wife se mukhtalif hoga. village ki girl se jo dialogue hoga wo shahri larki ke dialogue se mukhtalif hoga. isi tarah har fard ka alag dialogue hoga. jo os ne khood tayar karna hai.
3. Dress change: dulhan ko dress change kane aur zewarat waghaira utarne ke lia singhar mez aur os ke mirror ki zaroorat hoti hai. suhag ka jora change karne ke lia wide area ki zaroorat hoti hai. attach bath mai jewelry girne aur gum hone ka khatra hota hai aur waha jewelrey otarna bhi mushkil hota hai. suhag ke jore aur jewlery waghaira apas mai clip waghaira se link bhi hote hai. is lia dulhan attach bathroom ki bajai room mai dress change kare g.
4. Lait kar guftagoo: one way communication nahi hoga. ap first night mai sex karne mai tab hi kamyab hoge jab ap dress change se pahle wale dialogue se wife ka tension kam karne os ki eye open karane aur os ko ap ki bat ka reply dene mai kamyab honge. shuru mai wife one way hogi lekin ap apne dialogue se ose two way kare ge. lete lete jo guftagoo ho gi wo two way hogi. lekin is mai bhi bivi ziada tar hoon han kar rahi hogi. wo sirf reply derahi ho gi. khood kuch nahi kah rahi ho gi (generally but not all dulhan)
5. Bejan lash: larkion ko amooman sirf etna sex education dia jata hai keh nikah ke bad tumhara shohar mijazi khuda hai. tumhai os ki har bat manni hai. wo sohag rat ko jo bhi kare mana nahi karna. lekin kabhi bhi ose nahi bataya jata hai keh tum bhi barh charh kar sex main hissa lena. isi lia beshtar larkia apne ap ko shohar ke raham o karam par chor deti hai. os ki andar se khood bhi sex mai hissa lene ki khahish hoti hai. lekin sharam dar khof jhajhak ki wajah se apni andar ki khahish daba deti hai. aisi soorat mai woh reflexly mana nahi karti aur khood bhi kuch nahi karti. dekhne mai lagta hai ke wo bejan lash hai. ap ose hug kare ya kiss yeh bat jan le keh os ka attitude girl friend ke kiss aur hugg jaisa nahi hogasuhag rat ki dulhan ka ulat hoti hai. walima ki dulhan mai jo zindagi aur zinda dili mile gi ap girl friend ke hugg aur kiss ko bhi bhool jai ge Note: girl friend ka example sab ke lia nahi hai balkeh sirf on logo ke lia hai jo shadi se pahle girl friend ko hugg or kisskar chuke hai. ap bejan lash ka matlab lash na le balke samjhe ke bivi ki sharm aur jhajhak samjhe.
6. French kiss: suhag rat french kiss ki rat nahi balke examination ki rat hai. is waqt koi kiss yad nahi ata. yeh aisa exam hai jis mai naqal ke lia kartoos bhi nahi hota. koi peeche se guide bhi karne wala nahi hota. lekin agar ap ke dialogue se bivi ne ap ko qabool kar lia tu phir walima aur walima ke bad ap ko aise kiss se wasta pare ga ke ap french kiss bhool jai ge.
yad rakhe ke suhagrat ke dialogue jo keh hai wo faisla kare ga keh bivi ne ap ko pasand kia ya nahi. ap ke sath sex mai tawan ka daromadar os ke pasand aur na pasand par hai. agar ap dialoge ke exam mai fail ho gai. tu phir woh ap ko moqaddar samajh kar qabool kar lege lekin dil se qabool nahi kare ge. agar dil se qabool nahi kia tu phir wo sex mai ap ka sirf sath de ge khood kabhi bhi barh charh kar hissa nahi lege.
aur agar ap dialogue ke exam mai pass ho gai tu phir ho sakta hai keh woh suhag rat mai bhi ap ke sath etna tawan kare keh ap french kiss bhool jai. 10% log jo first night mai kamyab hote hai darasal yeh wo log hote hai jo dialogue mai kamyab hote hai.
7. : mashraqi larkia suhag rat to kia sari zindagi active parner nahi hoti. lekin aisi sharm o haya ki paikar bivia passive rah kar bhi apne shohar ko jo maza dila sakti hai woh active bivi bhi nahi dila sakti. is ki tafseel sirf wahi janta hai jis ko kisi wafadar hayadar shareef bivi se wasta para ho ya phir woh jise besharam behaya bivi se wasta para ho.
No comments:
Post a Comment