Iss kay ba'ad isi waqaey ko kisi teesrey ghaer janibdaar fard kay nukta-e-nazar sey dekhein tasawwur karein kay ek bachcha ya ek buzurg iss waqaey ko dekh raha hai farsh sey chewnty ki aankhon sey bhi dekha ja sakta hai bacha ya buzurg darmiyan mein khara ho aur aap donon iss sey yaksaa'n faasley per.
Iss mushq sey aap ko apni ghalti ka ehsaas ho jaey ga aur aap ko ma'aloom ho jaey ga kay doosrey fard ka nukta-e-nazar ghalat nahin bulkay sahi hai phir aap apna nukta-e-nazar chor deinege mahol pursukoon ho jaey ga.
Amooman saas ko bahoo aur bahoo ko nund aur saas pasand nahin hotiin inko dekhtey hi ghussa aa jata hai iss masley ko bhi aasaani hal kya ja sakta hai.
Mushq no. 11
Pehley ki tarah kisi pursukoon jagah aankhein bund kar kay beth jaein teen lambey saans ley kar apney aap ko mazeed relax karein.
Ab ek bohut barey waley ghubbarey ka tasawwur karein jis kay ooper saas/ bahoo ki shakal bani hui hai ghubbarey kay qareeb chali jaein aur neechey sey uska plug ek dum nikal dein ghubbrey sey hawa kharij hogi aur woh shu'n kar kay ja girey ga aur aap ki hansi choot jaey gi usko 3/ 4 baar repeat kar lein.
Ab aap jab bhi muta'alliqa fard ko dekhein gi to ghussey ki bajaey aap ko hansi aa jaey gi.
No comments:
Post a Comment