Agar zakar ko discharge kay baad faraj sey foran bahir nikal liye jaey to sara erection foran khatam hojata hai, lehaza discharge kay baad zakar ko foran faraj sey bahir naa nikala jaey ta'kay agar biwi nay abhi tak orgasm hasil nahi kara to woh bhi hasil karley.
- Jinsi lehaz sey mard aur aurat mein ek buniyadi farq yeh hai kay mard jinsi amal kay liye jaldi (2 to 3 min mein) tayyar hojata hai jab kay aurat ko mard sey 10 guna ziyada waqt ki zaroorat hai. Isey orgasm sey pehley kam sey kam 30 min jinsi stimulation ki zaroorat hai. Isssi tarhan mard mubaashirat (intercourse) mein 2 yeh 3 min mein discharge hokar orgasm hasil karleyta hai jabkay aurat ko orgasm kay husul kay liye mard sey 4 time ziyada waqt ki zaroorat hai. Mard aur aurat kay jinsi ehsaasaat bhi aik doosrey sey mukhtalif hai. Mard buniyadi tor per jinsi tension ko release karnaa chata hai jabkay aurat kay ehsaasat isskay bilkul ulat hotey hain. Iss sey jinsi khushi uss waqt ziyada mehsoos hoti hai jab isski jinsi tension mein ahista ahista ezafa ho.
- Humarey yahan amooman samajha jata hai kay agar mian biwi aik saath orgasm hasil kartey hain to yeh ziyada lutf angaiz hai jabkay mukhtalif surveys sey yeh baat saamney ai hai kay agar aurat pehley orgasm hasil karley to yeh aurat kay liye ziyada pur lazzat hai. Doosri taraf mian bhi biwi kay pehley orgasm hasil karney sey pur sukoon hojata hai. Isskay sir sey biwi ko saatisfy karney ka booj utar jata hai aur woh mubaashirat (intercourse) sey ziyada lutf andooz hota hai.
No comments:
Post a Comment