Chand din pehley aik dulhan ney bey panaah khushi kay saath mujhey phone kara kay hamari help sey woh mubashrat (intercourse) karney mein kamyab hogaey hain. Yeh inki pehli mubashrat (intercourse) thi jo kay shadi kay 1.5 saal kay baad hui. Mian biwi donon naujawan aur parhey likhey they. Shuru mein kaee maah tak unko pata hi naa tha kay mubashrat (intercourse) karnaa kahan hai. Karachi kay famous doctor Syed Mobeen Akhter ney apney aik dilchasp case ka zikar kara. Shadi kay taqreeban 1 saal baad mian biwi doctor sahib kay paas aaey, pareshan thay kay biwi abhi tak pregnant nahi hui. Jab tafseeli interview kara gaya to ajeeb baat saamney aaee kay inn donon ko pata hi nahi tha kay mubashrat (intercourse) kahan karna hai aur woh pichley 1 saal sey naaf (umbilicus) mein mubashrat (intercourse) kar rahey thay. Kuch din pehley mein ney bohut sey shadi shuda or aisey ghaer shadi shuda naujawaan jinki jald shadi honay wali thi, sey pucha kay kiya unko mubashrat (intercourse) ki exact jagah ka pata hai yaqeen kareyn kay kisi aik ko bhi pata naa tha.
Humarey yahan mardon ki bohut bari ta'adaad taqreeban 90% ko mubashrat (intercourse) kay asal maqaam ka pata nahi hai. Woh nahi jantey kay mubashrat (intercourse) kahan kii jati hai. Woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse) kartey hain jiski wajah sey aksar mardon ko dakhool mein problem hoti hai aur ba'az mard dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain jis sey inhein sharmindigi aur biwi ko frustration hoti hai aur ba'az afraad ka tanau (erection) dakhool ki koshish mein hi khatam ho jatq hai. Jo mian biwi donon kay liye mayusi ka ba'iss hota hai.
No comments:
Post a Comment