koi saheli ho sakti hai sochney sey aap kay dimagh mein uski tasweer ban jaey gi. Yeh tasweer amooman rangeen, saaf, roshan, bari, qareeb aur samney hoti hai iss tasweer ko dekh kar apney achey jazbaat-o-ehsaasaat ko note kar lein aankhein khol dein. Dobara aankhein band kar kay ab iss tarah apni saas/bahoo kay hawaley sey sochein to aap kay dimagh mein uski tasweer ban jaey gi jo kay pehli tasweer sey mukhtalif hogi naa pasandeeda fard ki tasweer amooman black and white hoti hai. Iss tasweer ka rang, size, faasla aur maqam dekhein kay yeh tasweer aap kay dimagh mein kahan ban rahi hai mumkin hai kay yeh tasweer bilkul samney ki bajaey da'en, ba'en ya ooper neechey ban rahi ho iss tasweer ko dekh kar aap kay ehsaasaat achey na hongey. Ab ek sath donon afraad kay barey mein sochein to donon ki tasaweer ban jaeingi ab saas/bahoo wali naa pasandeeda tasweer ko pasandeeda tasweer kay mutabiq kar dein maslan agar pasandeeda tasweer rangeen hai to doosri ko bhi rangeen kardein agar woh saaf, roshan aur chamakdaar hai to naa pasandeeda tasweer ko bhi waisa hi kar dein. Donon kay fasley aur jisamat kay le'haz sey ek jitna kar dein agar pasandeeda tasweer kay gird frame hai to doosri kay gird bhi waisa hi frame laga dein agar pasandeeda bilkul samney ban rahi hai to doosri ko bhi bilkul samney ley aaein. Yani naa pasandeeda tasweer ko bilkul pasand kay mutabiq kar dein to aap ki naa pasand, pasand mein badal jaey gi amooman ek hi baar iss tarah karna kafi hota hai magar ba'az auqaat bar bar karna parta hai aisi surat mein rozana subah, dopahar aur shaam teen baar yeh mushq karein yeh mushq uss waqt tak jari rakhein hutta kay aap ki pasand, naa pasand mein badal jaey.
|
No comments:
Post a Comment