Pages

Thursday, 11 August 2011

Problem Solving Method

45. Dunya mein har fard ko masail ka saamna hai, ba'az auqaat hum unn masail ko hal nahin kar saktey lekin woh humein bohut pareshan kartey hain aap iss pareshani ko bohut hudd tak kam kar sakti hain.

Mushq no. 14

  • Kisi pursukoon jagah beth jaein teen lambey saans ley kar aankhein bund kar lein.
  • Tasawwur karein kay aap kay samney ek screen hai apney masley ko iss screen per dekhein.
  • Ab masley ki tasweer per zor sey phoonk maarein to aap sey duur chali jaey gi ek do phoonkein marney sey woh duur ja kar ghayab ho jaey gi.
  • Dobara iss masley kay baarey mein sochein ab woh aap ko pehley ki tarah pareshaan nahin karey ga.
  • Iss kay liye mushq no. 3 bhi bohut mu'asser hai.


Mushq no. 15

  • Aaram sey bister per laet jaein beth bhi sakti hain aankhein band kar lein jism ko teen lambey saans ley kar mazeed relax karein.
  • Ab maazi kay teen khushgawar waqe'aat ko bari bari zehen mein laein iss tarah mehsoos karein jaisey pehli baar mehsoos kya tha.

No comments:

Post a Comment