Pages

Sunday, 7 August 2011

Female Genitalia - Aurat Kay Aaza e Makhsoosa

Mard to mard bohut si larkiyan bhi apney female genitalia (aaza e makhsoosa) kay mukhtalif hisson sey puri tarhan waqif nahi. Isski wajah bohut simple hai. Aurat kay aaza-e-makhsoosa hidden hotey hain. Khushgawar azdawaji zindagi kay zaroori hai kay biwi ko apney aaza-e-makhsoosa ka pata ho kay kon si cheez kaha hai. Isskay liye woh apney aaza-e-makhsoosa ka achi tarhan Muaina karey. (Muaina kay liye khususi mashq hamari doosri book "Azdawaji khushiyan khawateen kay liye" mein mojood hai). Jab biwi apney aaza-e-makhsoosa sey puri tarhan waqif hogi to shadi kay shuru mein hi mian ko apney aaza-e-makhsoosa kay har hissey ki wazahat karey bul kay roshni mein mian ko isska muaina bhi karey, ta'kay mian ko mubashrat (intercourse) kay asal maqam sey puri agahi hasil hojaey, isi tarhan mubashrat (intercourse) mein naa sirf issey dakhool mein mushkil paish nahi aigi bul kay kisi ghullti ka emkan bhi naa hoga. La elmi ki wajah sey baaz auqat mian faraj kay bajaey maq'ad (anus) mein mubashrat (intercourse) kar leytey hain jo kay haram honay kay elawa bohut takleef deh aur sehat kay liye nuqsan deh bhi hai.

Mard kay liye aurat kay female gentalia (aaza e makhsoosa) ko jannay ka aik zariya yeh hai kay woh pehley aurat kay aaza e makhsoosa ka khaka aur picture dekh ley. Iss tarhan ki pictures medicals ki book mein aasani sey dekhi ja sakti hain. Aap humein letter likh kar bhi yeh khakay aur pictures hasil kar saktey hain. Khakay aur pictures ki madad sey aurat kay aaza-e-makhsoosa kay har hissey ko achi tarhan dekh aur samajh liye jaey aur phir iss ilm ki roshni mein biwi ki madad sey female genitalia (aaza e makhsoosa) ka muaina kiya jaey.

No comments:

Post a Comment