Aurat ka asal husn uska ikhlaaq hai jis mein har roz izafa hota hai doosri taraf jismaani husn har roz maand parrta hai. Khushgawar gharelu zindagi kay liye zaroori hai kay biwi apney gharelu masa'el aur jhagron ka zikr apney maekey mein na karey. Inn masa'el kay hal kay liye apney walaeden ko shamil na karey maekay kay shamil honey sey masa'el hull honey ko bajaey mazeed ulajh jatey hain. Le'haza masa'el ko apney aap tak mehdood rakhein mian kay sath mil kar unko hull karney ki koshish karein ta'hum intihaee surton mein donon khandaanon kay samajh daar afraad ko shamil kya ja sakta hai. Biwi khawand ki kisi khaami ka mazaq na uraaey, usey sharamsaar aur barhum na karey ek baat ko bar bar na duhraey, inn sab cheezon sey haalaat humesha kharab hotey hain. Chu'nkay fitri tor per mardon kay jazbaat ba zarya basaarat mushta'el hotey hain le'haza woh har khoobsurat cheez ko dekh kar uski taraf mutawajjah ho jatey hain aur usey tajassus ki nigaah sey dekhtey hain isi tarah agar usey koi khoobsurat aurat nazar aaey gi to woh usey tajassus ki nigaah sey dekhey ga (islam mein mardon ko nigaah neechi rakhney ka hukum hai) amooman biwiyan iss cheez per hungama khara kar deti hain. Isey woh apni tauheen samajhti hain aur khawand ko bura khayal karti hain hala'n kay yeh aksar auqaat tajassus ki nigah hoti hai na kay buri, le'haza iss silsiley mein biwiyon ko surf-e-nazar karna chahiyie na kay tu takaar aur hungama aaraee. Apney khawand kay samney kisi doosrey mard aur aurat ki khusoosan unn kay husn ki ta'areef na karein yeh amal mian biwi kay ta'alluqaat ko kharab karney ki ek ahem wajah hai.
|
No comments:
Post a Comment