Pages

Thursday, 11 August 2011

Parents In Islam

53. Islam mein aulaad ko hukum diya gaya hai kay woh apney waleaden sey behetreen sulook karein. Irshaad-e-Baari Ta'ala hai "Maan baap kay sath ehsaan kya karo" (Al Inaam - 152) doosri jagah irshaad hai "Maan baap kay sath husn-e-sulook kya karo agar terey paas inn mein sey ek ya donon burhapey ko pohonch jaein so inko kabhi uff bhi mutt kehna aur na unko jhirakna unn sey khoob adab sey baat karna aur unn kay saamney aajizi aur inkisari kay sath jhukey rehna aur yun duaa kartey rehna kay aey merey parwardigaar inn donon per rehmat farmayie jaisa kay mohabbat sey unhon ney mujh ko bachpan mein paala". (Baniisraeel – 22,23)

Allah kay nabi ka irshaad hai kay Maan baap ko sataney waley ko Allah Ta'ala isi dunya mein saza detey hain. Doosri jagah Huzoor ney farmaya kay barey barey gunaah yeh hain.-

  1. Allah Ta'ala kay sath shareek karna
  2. Maan baap ki nafarmani karna
  3. Kisi jaan ko qatal karna
  4. Jhoot bolna

Chuna'ncha shirk kay ba'ad sab sey bara gunaah walaeden ki nafarmaani hai. (muslim) ta'hum inn ki wajah sey bhi Khuda ki nafarmani kisi bhi surat mein ja'ez nahin. Ek sahaabi ney Huzoor sey arz kya Ya Rasool Allah walaeden kay aulaad per kya huq hain? Aap ney farmaya kay woh donon teri jannat aur jahannum hain. (ibn-e-maja) yani agar fard unki ta bedaari karey ga to jannat mein jaey ga aur naa farmani karey ga aur unko dukh dega to dozakh thikana baney gi.

No comments:

Post a Comment