Pages

Thursday, 11 August 2011

Happy Home Life

In donon surton mein unhein aam logon sey zyada kaam karna parta hai kaam kay ikhtitaam per jab woh gharon ko lottey hain to woh zehni aur jismaani tor per thak kar choor ho chukey hotey hain. Iss surat mein unhein ghanta, derh ghanta tanhaee mein aaraam ki zaroorat hoti hai ta'kay woh family ko waqt deney, gharelu masa'el sunney aur hull karney kay liye taaza dum ho sakein le'haza aap ko chahiyie kay kaam sey wapsi per mian ko kuch der aaraam karney dein ta'kay woh fresh ho sakey aur aap ki batein zyada tawajjah kay sath sunn sakey.

  1. Humarey haan gharelu zindagi aksar yaksaniyat ka shikar hoti hai iss yaksaniyat ko khatam kar kay gharelu mahol ko pur kashish banaya ja sakta hai maslan ghar kay kamron ki setting gaahey gaahey badla ja sakta hai ghar mein kabhi kabhar koi chota mota function kar liya jaey kabhi baron aur kabhi bachon ka.
  2. Behter hai kay mian biwi alaehda ek kamrey mein soein iss tarah unhein ek doosrey ko samjhney kay zyada mawaqae milein gey. Yeh qurbat ta'alluqaat ko zyada khushgawar bananey kay elawa azdwajii zindagi ko bhi zyada khushgawar banati hai jo kay pursukoon aur khushgawar zindagi ki bunyaad hai. Budqismati sey humarey haan jagah kay hotey huey bhi aksar mian biwi alaehda alaehda kamron mein sotey hain jis sey faasley barh jatey hain yeh cheez khushgawar zindagi ko buri tarah muta'assir karti hai.
  3. Ghar ko khushgawar bananey ki zimm-e-daari sirf biwi per nahin bulkay zyada zimm-e-daari khawand per hai. Hum inshaAllah apni agli kitab 'azdwajii khushyan…sab kay liye' mein mardon ko bhi bataaein gey kay zindagi ko khushgawar bananey kay liye unhein kya karna chahiyie.

No comments:

Post a Comment