Pages

Thursday, 11 August 2011

Avoid Small Mistakes

Le'haza biwi ko chahiyie kay woh apney khawand ko dunya aur aakhirat kay azaab sey bachaey lekin agar khawand biwi ki wajah sey walaeden sey bura sulook karta hai to phir biwi bhi mian kay gunaah mein baraber ki shareek hogi aur jahannum ka aendhan bahey gi.

  1. Khawand ki ma'amooli ghaltiyon aur kotahiyon sey darguzar karein ma'amooli baton per ghussey aur naraazgi ka izhar na karein maslan mian geela toliya bathroom mein chor aata hai ya apney kaprey ikatthey nahin karta naeki samajh kar yeh kaam khud kar lein aur sath hi sochein kay woh aap kay liye kya kuch kar raha hai.
  2. Har insaan khoobiyon aur khamiyon ka majmoo'aa hota hai agar aap apney mian ki kisi ghalti, kotaahi ya kamzori waghaera sey aagaah hain to iss bunyaad per usey la'an, ta'an aur sharminda na karein iss sey na sirf ta'alluqaat kharab hotey hain bulkay la'an, ta'an karney wala fard Allah Ta'ala ko sukht naa pasand hai.
  3. Kabhi bhi mian ki baat ka ghalat matlab na nikalein uss sey husn e zan rakhein, agar shak ho to mian sey sukoon sey poochein kay fula'n baat sey uska kya matlab tha. Gharelu jhagron ki ek bari wajah doosrey ki baat sey ghalat mafhoom aur matlab nikalna hai doosrey fard kay saan o gumaan mein bhi nahin hota. Agar mian ki koi cheez aap ko disturb kar rahi hai to usey nazar andaz na karein bulkay pehli pursukoon fursat mein uss sey achey andaaz mein baat karein, tanqeed na karein, uss kay sath discuss karein aur achey andaaz sey hal karney ki koshish karein.
  4. Humarey haan mardon ki azeem aksaryat private sector mein kaam karti hai ya to woh kisi private idaarey mein kaam kartey hain ya phir apna kaam kartey hain

No comments:

Post a Comment