Pages

Thursday, 11 August 2011

In Laws And Marriage
  • Tasweer ko zyada rangeen, shokh, roshan aur saaf karein usey bara kar kay qareeb laein ab aap pehley sey bhi zyada khushi mehsoos kareingi.
  • Subah uthtey hi yeh mushq kar lein aap saara din khush-o-khurram raheingi. Hasb-e-zaroorat aap ek din mein zyada bar bhi yeh mushq kar sakti hain.

45. Apney susraal walon kay dil jeetein yaqeen karein kay har insaan ka dil jeeta ja sakta hai apni saas susar sey isi tarah mohabbat kijiyie jaisey apney walaeden sey mohabbat karti hain inn mein dilchaspi lein uss ki khidmat kay liye har waqt tayyar rahein nihayat zinda dili aur josh-o-kharosh sey unki mizaj pursi karein. Inn mein sachey dil sey dilchaspi lein.

Aap kay chehrey pey muskuraahat ho saas sey muskuratey chehrey sey milein hans mukh banney ki koshish karein har waqt chehrey per muskurahat ho iss sey na sirf mian bulkay susraal kay sab hi log bohut khush hongey. Allah kay nabi ney muskurahat ko sadqa qaraar diya hai. Saas susar ko muskuratey huey salam karein, nukta cheeni aur aeb joee kay bajaey unki ta'aref-o-tehseen kijiyie. Apni zarooraton ka zikr chor dein bulkay doosron kay nukta-e-nazar ko samajhney ki koshish karein. Huns mukh insaan ko har jagah khush aamdeed kaha jata hai aaj sey taey karein aap ney Allah kay Rasool ki iss sunnat aur farmaan pey amal karna hai.
Saas susar ki baton mein dilchaspi lein jab woh baat kar rahey hun to poori tawajjah se inki baat ko sunein aisey sawalaat kijiyie jin ka jawab detey waqt unko khushi ho

No comments:

Post a Comment