Pages

Friday, 26 August 2011

Asqaat e Hamal

Master and Johnson kay mutabiq bachey ki paeda'esh kay 3 week baad aurat sehatyab ho jati hai aur iss sey mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Iss doran mein iss ki jinsi khwahish wapis aa jati hai.

Woh khawateen jo miscarriage ya abortion ka tajurba kar chuki hain, inn kay liye behtar yeh hai kay woh hamal (pregnancy) kay poorey arsey mein khusoosan pehley chand weeks aur last weeks mein mubashrat (intercourse) aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie. Kyun kay orgasm ki hamil jinsi sargarmi sey miscarriage (Asqaat e Hamal) ka khatra barh jata hai. Iss tarhan kuch doosrey mahireen kay mutabiq hamal kay last 6 week mein behter yehi hai kay mubashrat (intercourse) na ki jaey.

Last weeks mein mubashrat (intercourse) ki wajah sey labour pain pehley shuru ho sakta hai. Iss tarhan bacha waqt sey pehley paeda ho jata hai.

Hamal (pregnancy) kay pehley 6 maah tak to aam halat ki tarha mubashrat ki ja sakti hai aur itni hi bar ki ja sakti hai jitni bar pehley hoti rahi hai. Albatta last month perhaez karna zyada zaroori hai. Iss doran mein biwi mian ko mutabadil tariqon sey jinsi sukoon muhayya karey. Pregnancy kay doran mein khusoosan last month mein mubashrat (intercourse) ka missionary method yani aurat neechey waley method ko bilkul tark kardiya jaey. Albatta shuru kay dinon mein 1 or 2 month mein yeh tariqa use kya ja sakta hai. Pregnancy kay doran mein mubashrat (intercourse) ki sab sey behtar position pehlu ba pehlu hai. Iss kay elawa aagey peechey aur aurat kay ooper wala tariqa bhi use kya ja sakta hai. Pregnancykay last kuch weeks kay doran mein missionary method use karney sey jhilli qabal az waqt phat jati hai aur bachey ki paeda'esh qabal az waqt hojati hai.

No comments:

Post a Comment