Pages

Thursday, 25 August 2011

How To Solve A Family Problem
  • Tasawur karein ka aap kay saamney ek screen hai. Apney masa'el ko screen pai dekhain.
  • Ab aap tasawur mein apney aap ko bohut lamba karein aur ooper chaley jaey magar woh picture neechey hi rahey gi. Ab woh picture aap ko bohut dhundhli aur ghaer clear naazar aaey gi aur aap ki pareshani bohut kam hojaeygi. Apney aap ko mazeed lamba karleyn ab aap bohut ooper chaley jaeyngai magar picture wahi rahaigi. Ab woh picture mazeed dhundhli hojaeygi. Shayad nuqta sa ban jaey. Ab woh masla aap ko pareshan nahi kareyga. Eyes khol dein.
  • Ab dubara isi masleykay barai mein sochain. Woh aap ko pehley ki tarhan pareshan nahi kareyga.
  • Masa'el ki pareshani ko iss tarhan bhi kam kiya ja satka hai.

Mushq No. 13

  • Kisi pursukoon jagah beth jaeyn. 3 Lambai sans leyn, eye band karleyn.
  • Tasawur karein ka aap kay saamney ek screen hai. Apney masleyko screen pai dekhain.
  • Ab iss tasawur per zor sey phoonk marain to woh aap sey door chali jaeygi. 1 or 2 phunkayn marnay sey woh door ja kar ghayab hojaeygi. Eyes khol leyn.
  • Dubara iss masleykay barai mein sochain, ab woh aap ko pehley ki tarhan pareshan nahi karey ga.

No comments:

Post a Comment