Pages

Friday, 26 August 2011

Sperm Count

4. Khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat sey kam hota hai. Agar in ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojaey to bhi sperms mar jatey hain. Agar aap tight dresses khusoosan tight underwear pehentey hain to aap kay khusyey aksar auqat aap kay jism kay sath lagey rehtey hain jis ki wajah sey khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojata hai jo kay sperms kay liye nuqsandeh hai. Lehaza khula libas pehnein khusoosan garmiyom mein aap kay khusyey zyada der jism kay sath na lagey rahein.

5. Garmi sperms ki dushman hai. Lehaza garam pani mein zyada der tak naa bethein, zyada der tak garam pani sey na bath lein, apney khusyey ko thanda rakhein. Jab bhi bath room jaein khusyey per 1 – 2 minute kay liye thanda pani dalein. Aag kay qareeb kaam karney walon kay han aksar larkiyan paeda hoti hain. Garmi sey Y chromosomes jald mar jatey hain.

6. Jo log rozana zyada driving kartey hain, engine ki garmi ki wajah sey inn kay sehatmandsperm count kam ho jata hai. Iss kay liye apney neechey hawa dar seat rakhein. Har 1 yeh 2 hours baad khusyon ko cold pani sey wash karein.

7. Diet mutawazin ho jis mein sarey vitamin khusoosan vitamin A, aur vitamin E ka zyada use ho.

8. Ek research sey maloom hua hai kay zyada run aur cycle chalaney sey 2 week meinSperm Count 29% kam ho jati hai. Yani bohut zyada exercise bhi sperms kay liye nuqsandeh sabit hogi.

No comments:

Post a Comment