Birth Control In Islam - Zabt e Wiladat |
5. Aurton mein infertility ki ek ahem wajah umar ki zyaditi hai 35 year ki umar kay baad aurat ki pregnancy honay ki salahiyat kam ho jati hai. Apni biwi ki kharabi ko jannay kay liye kisi mahir doctor sey rabta karian khawateen ki bohut si bemariyan qabil-e-elaj hain. Zabt e Wiladat (Birth Control In Islam) Birth control per ahl e ilm mein ikhtilaf hai. Baaz ulma kay nazdeek Islam mein birth control ki ijazat nahi hai. Allah Ta'ala nay Quran mein irshad farmaya: "Qatal naa karo apni aulad ko muflisi ki wajah sey, hum tumhein bhi rizq detey hain aur un ko bhi" (Al-Inaam 151) Baaz doosrey ulma kay nazdeek birth control ki gunjaesh hai kyun kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney apney daur mein birth control sey sahaba karam ko manaa nahi farmaya (bukhari, muslim) kuch ulma kay naazdeek muflisi kay darr sey birth control haram hai jab kay doosri soorton mein jaez hai. Birth control amooman neechey di gaee wajoohaat ki bina per ki jati hai.
|
Friday, 26 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment