Birth Control Methods - Withdrawal - Uzul |
Withdrawal (uzul) Birth control ka sab sey qadeem tariqa hai magar ab bhi puri duniya mein use ho raha hai. Birth control ka yeh koi bohut useful tariqa nahi hai. Iss ki nakami ki sharah 25% hai. Yeh baat Allah Ta'ala kay nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney 1400 year pehley batadi thee. Sahaba e karam ney uzul (withdrawal) kay barey mein sawal kya kay uzul karna kaisa hai. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay kya tum aisa kartey ho 3 bar yehi farmaya. Phir farmaya kay jo jan qayamat tak duniya mein aanay wali hai woh zaror aaey gi. (Bukhari) Inzal sey pehley jinsi uruj mein mani kay chand qatrey nikal jatey hain inn mein bhi sperm ho saktey hain. Iss sey bacha paeda ho sakta hai. Baaz auqat mard jinsi jazbaat ki shiddat ki wajah sey zakar ko baher nikaltey huey inzal ho jata hai. Iss mein inzal faraj kay ander to nahi hota magar iss kay ooper ho jata hai jis ki wajah sey sperm faraj kay ander ja saktey hain. Baaz auqat fard zakar ko baher nikal hi nahi pata aur roknay kay bawajood faraj kay ander hi inzal ho jata hai. Baaz auqat iss wajah sey fard early inzal ka shikar ho jata hai.Withdrawal (uzul) ki wajah sey mard sex sey bharpoor lutf andoz nahi hota. Kyun kay iss ka dheyan inzal ki taraf hi rehta hai aur lutf ki taraf kam tahem iss tariqey kay koi burey asraat nahi hain. Allah Ta'ala kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay daur mein sahaba karamWithdrawal (uzul) kartey thay. |
Friday, 26 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment