Pages

Thursday, 25 August 2011

Spend Time With Family

74. Biwi ko maloom hona chahiyie kay iss ki kon si cheez aapko sab sey ziyada pareshan karti hai. Elzam naa dein, tanqeed naa karein, bul kay piyar aur achai andaaz sey issko baatein. Isi tarhan aapko bhi maloom hona chahiyie kay apki konsi cheez biwi ko sab sey ziyada pareshan karti hai. Phir issko control karein. Aksar auqat hamein pata nahi chullta kay hamari konsi cheez dusron ko pareshan karti hai. Agar hamein pata chull jaey to ham isey bachnay ki koshish kartey hain. Iss ka ek tareeqa yeh hai kay mian biwi ek ek list banay jin mein en cheezon ka zikar ho jo ek ko doosrey ki pasand nahi. List exchange karleyn. Nehayat relax hokar issko read karein. Yeh ek mushkil kam hai. Phir en list ko jala dein yeh ghar kay sahan mein dafan kardein. Ab en achi cheezon ki list banay jo aap ek doosrey mein talash kar saktey hain. Chahey woh kitni hi mamoli kyun naa ho. 2 list banay, har ek mein aisi cheezain shamil ho jo ek ko doosrey ki pasand ho. Enko frame kara kar apney bedroom mein latkaleyn aur deyly ek bar enhai phar leyn. Yeh tareeqa apki zindagi ko bohut khushgawar banaa deyga.

  • Bachun kay saath deyly kuch waqt guzarain. Mumkin ho to inkay saath khailey. Ensey Mohabbat karna kafi nahi bul kay Mohabbat ka ezhar bhi karein. Enhai baaatian kay aap ensey Mohabbat kartey hain. Enhai kiss karey, hug karey. Enhai protection ka ehsaas dein. Enko incourumar karein, tareef karein, inki mamoli kamiyabiyun per bhi khushi ka ezhar karein. Agar woh pareshan ho to puchai kay woh kyun pareshan hai. Inki madadkareyn. Chotey chotey kam karney per inki tareef karein. Woh enhai ziyada karein gey.

No comments:

Post a Comment