Sex Education - Research Ki Zaroorat
Sex Education In Urdu
Iss guftugoo kay ba'ad mehsoos hua kay iss mozou per mazeed muta'alla aur research ki zaroorat hai. Humarey haan iss mozou per meyari kutub na honay kay baraber hain. Chunancha America aur Europe mein apney doston ko likha, iss tarah meyari aur taza kutub hasil kiin aur unn sey faeda uthaya. Iss kay elawa Karachi kay ma'aroof psychiatrist, sabiq member subaee assembly aur rukun jama'at e islami Dr. Syed Mobeen Akhter ki tehreeron sey bhi merey ilm mein izafa hua. Pakistan mein dastyab aksar kutub jahalat aur bey ilmi ka shahkaar hain. Sex kay hawaley sey jitney yeh neem hakeem jaahil hain, shayad hi koi doosra ho. Teen saal kay muta'alley aur tehqeeq ka nichorr humney ek seminar ki surat mein Lahore mein Mall Road per Alhamra Hall mein free paesh karna shuru kya. Logon ki dilchaspi ka yeh aalam tha kay hall mein til dharney ki jagah nah hoti thi. Taqreeban 99% logon ney isey bey hudd pasand kya. Inn kay khayal mein yeh ek mufeed koshish hai jab kay 1% ney kaha kay hum fahaashi phela rahey hain. Humarey kuch khaer khwaho'n (well wishers) ney humein mashwara diya kay hum zara ehtiyat karein aur hakeemo'n ka zikr na karein warna who aap ko qatal kara deingey kyun kay aap unn kay rizq per laat maar rahey hain.
Iss doran humney sex kay hawaley sey chund ahem issues per Lahore kay ma'aroof ulma'a ki khidmat mein ek sawal naama irsaal kya. Aksar ulma e karaam ney shayad masail ko ghaer ahem samajhtey huey jawab nah diya ya shayad woh iss mozou per apni ra'ey detey huey ghabratey hain lekin aap ittefaq karein gey kay aankhein bandh karney sey masail khatam nahin hongey. Unn ka saamna karna aur unn ka hal dhoondhna zaroori hai.
Friday, 26 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment