Pages

Thursday, 25 August 2011

Family Environment - Gharelu Pur Kashish Mahol

84. Ghar kay mahool ko khushgawar rakhney kay liye zaroori hai kay ghar ka har fard khush aur mu'nhtameinn ho, khusoosan aap kay bachey, bachun kay liye aap jo behetreen cheez kar saktey hain woh yeh hai ka aap apney saathi sey Mohabbat karein doosrey alfaz mein mian biwi ek doosrey sey Mohabbat karein. Bachun kay liye parents ki taraf sey yeh ek behetreen gift hai. Iss sey ghar ka har fard khushi aur sukoon mehsoos kareyga.

85. Bachun kay saath rozanaa kuch waqt guzarain. Mumkin ho to en kay saath khaileyn. En sey mohobaat karna kafi nahi bul kay Mohabbat bul kay Mohabbat ka ezhar kejiya. Enhain baatein ka aap en sey Mohabbat kartey hain. Enhain kiss karein, galey lagain. Enhai ehsaas-e-tahafuz dein. En ki hasla afzai karein tareef karein, en ki mamoli kamiyabiyun per bhi khushi ka ezhar karein. Agar woh pareshan hun to puchain ka woh kyun pareshan hain. En ki madadkareyn. Chotey chotey kam karney per en ki tareef karein. Woh enhain ziyada karein gey.

86. Mian kay liye e ski zindagi mein iss kay parents kay baad sab sey ahmiyat shakhsiyat e ski biwi ho. Iss kay apney bahan bhai sey bhi ahem. Agar aap apni biwi aur family ko ya maqam nahi dey gai to khushgawar zindagi ka khuab sarab hojaeyga. Humarey yahan bahan bhaiyun ko amooman biwi bachun sey ziyada ahmiyat di jaati hai jis ki wajah sey ghar ka mahool khushgawar honay kay bajaey udas hojta hai. Zahiri tor per shayad aap ko meri ya baat achi naa lagai.

No comments:

Post a Comment