Pages

Friday, 26 August 2011

Birth Control - Zabt e Wiladat

3. Bohut si khawateen ki khwahish hoti hai ka en kay bachon ki paeda'esh kay darmiyan 2 ya dhaee saal ka gap ho kyun ka yeh en ki aur inkay bachon ki sehat kay liye mufeed hai. Quran sey bhi iss tarhan ka irshad milta hai. Jis mein bachon ko 2 saal doodh pilaney ka zikar hai.

4. Baaz khawateen ko mukhtalif tests ki madad sey pata chal jata hai ka en kay bachey normal naa hungai. Iss sorat mein woh pregnant honay sey aitraz karti hain.

5. Parents ki baaz bemariyan bachun ko muntaqil ho sakti hain .Iss sorat mein bacho ki paeda'esh ko control kiya jata hai.

6. Baaz auqat mother ki kharab sehat mazeed bachun ki ejazat nahi deti.

7. Mulazimat pesha khawateen ziyada bachey nahi chahtiin. Kyun kay ek waqt mein ek hi kam bahter ho sakta hai, bachon ki perwarish ya mulazimat.

Iss waqt duniya mein birth control kay bohut sey tariqey raij hain. Kuch qadeem, kuch jadeed. Kuch kam kamiyab aur kuch ziyada kamiyab. Kuch ka enhisar mardon per hai aur kuch ka khawateen per. Birth control kay kuch ahem tareeqey neechey mojood hain.

  1. Uzul (Withdrawal)
    Iss tariqey mein mard anzal kay qareeb zakar ko faraj sey bahir nikal leyta hai aur mani (semen) ko faraj sey bahir kharij karta hai.

No comments:

Post a Comment