Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi |
Badqismati sey humarey yahan burhapey ki jinsi sargarmiyon kay hawaley sey logon ki raey bilkul manfi hai. 70 year old mian biwi ki jinsi sargarmiyun ko bohut ghaer shaista samjha jata hai aur iss umar mein mushtzani ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut sey 70 year kay afraad biwi kay adam taa'wwun ki wajah sey mushtzani per majboor hain. Aam logon ka khayal hai kay burhapey mein fard jinsi amal kay qabil hi nahi rehta. Aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey apni jinsi sargarmiyun ko rok deytey hain, jis ki wajah sey woh kuch arsa baad jinsi amal kay qabil hi nahi rehtey kyun kay jis cheez ko use naa kiya jaey (jismani aaza etc) to kuch arsa baad woh use kay qabil nahi rehti. Use it or lose it. Jab kay haqeeqat yeh hai ka boorhey logon ko bhi jawanon ki tarhan sex ki zaroorat hai. Aurat ki sehat kay liye orgasm ek mufeed cheez hai. Agar mian biwi sehat mand hun to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hotey hain. Burhapey mein majmoee tor per fard ki jismani karkardigi mein kami waqai ho jati hai. Burhapey mein woh tez nahi bhag sakta bul kay ahista chalta hai. Zyada wazan nahi utha sakta. Isi tarhan iss ki jinsi sargarmiyun mein bhi kami waqai ho jati hai. 80 year kay baad buniyadi jinsi hormone testosterone (jis ka ta'alluq tanau (erection) aur jinsi khwahish kay sath hota hai) ki paedawar mein 20 saal ki umar ki nisbat 66% tak kami waqai ho jati hai. Jis ki wajah sey fard ki jinsi khwahish mein kuch kami ho jati hai. Iss kay elawa tanau (erection) bhi jawani ki tarhan sakht nahi hoti magar dakhool kay qabil hoti hai. Fard ko tanau (erection) hasil karney mein bhi zyada waqt lagta hai. Jawani mein mard foran tanau (erection) hasil kar leta hai. |
Friday, 26 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment