More Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohat |
khusoosan agar musalsal naahamwar jagah per cycle chalaee jaey. Aisi sorat mein naahamwar jagah per cycle chalatey huai apney sareen (hips) ko cycle ki seat sey ooper uthalein. Albatta kuch hours cycle chalanay sey yeh masla paida nahi hota. Tahem iss sorat mein bhi naahamwar satah per cycle chalatey huay apni seat sey zara ooper uth jaeyn. Aasabi Beemariyan (Neurological Disease) Aisi koi beemari jo brain kay hissey ko nuqsan pohonchaey jis ka ta'alluq tanau (erection) kay sath hai ya tanau (erection) paida karney waley aasab mein koi kharabi paeda ho jaey to yeh bhi iss masley ka sabab ban sakti hai. Below menion bemariyan iss ka sabab ban sakti hain. Reerdh ki bone ka tumor, Herniated Disc, Parkinsons disease, Multiple sclerosis. Zakar Ki Banawat Mein Tabdeeli (Penis Structural Changes) Umar kay bharnay kay sath zakar ki lachak mein kami aa jati hai jis ki wajah sey baaz afraad ka zakar puri tarhan nahi phailta iss tarhan woh lambaee aur choraee mein chota ho jata hai. Yeh tabdeeli bhi tanau (erection) ka masla paeda kar deti hai. Peyronie's Disease Iss mardanaa beemari mein zakar mein tanau (erection) paida karney waley tissuiss sukht hojaatey hain aur tanau (erection) mein zakar ooper yeh neechey ko rotate hojata hai. Agar zakar neechey ko ziyada rotate hojaey to mubaashirat (intercourse) mein dakhool nahi hosakta. Iss kay elawa iss beemari mein jab zakar mein tanau (erection) paida hojata hai to fard ko shadeed dard hota hai. |
Friday, 26 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment