Pages

Thursday, 25 August 2011

Take Care Of Your Wife

78. Baaz auqat mian biwi mein kisi baat per ekhtilaf hojata hai. Aap samajtai hain ka aap ka nuqta-e-naazar durust hai aur aap biwi kay nuqta-e-naazar ko samajhnay ki koshish nahi kar tai. Jab ka baaz auqat humarey nuqta-e-naazar durust nahi hota magar hamein iss ka ehsaas nahi hota. Agar ham biwi kay nuqta-e-naazar ko bhi jan leyn to hamein ehsaas hoga ka iss ka nuqta-e-naazar bhi ghalat nahi hai. Doosrey fard kay nuqta-e-naazar ko jannay kay liye mandarja zael mushq ko use karein.

Mushq No. 10

  • Kisi pursukoon jagah aram sey beth jaeyn. 3 lambai lambai jans leyn aur eyes band karleyn.
  • Tasawur karein ka aap kay saamney ek screen hai. Iss screen per iss waqai ko aap apney nuqta-e-naazar sey dekhain.
  • Ab isi waqai ko isi screen per biwi kay nuqta-e-naazar sey dekhain, iss tarhan tasawur karein kay aap biwi kay jism mein dakhil hogai hain. Ab ape s waqai ko biwi kay nuqta-e-naazar sey dekh rahey hain ya tasawur karein ka aap biwi kay pechai kharey hain aap ki chin biwi kay shoulders per hai aura b aap biwi kay nuqta-e-naazar sey iss waqai ko screen kay ooper dekh rahey hain.
  • Ab isi waqai ko kisi 3rd ghaer janibdara fard kay nuqta-e-naazar sey dekhain. Tasawur karein ka ek bacha yeh buzurk iss waqai ko dekh raha hai. Woh aap donon mian biwi kay darmiyan khara hai aur aap donon iss sey yaksaan fasley per hain.
  • Iss mushq sey aap ko apni ghalti ka ehsaas hojaeyga aur aap ko maloom hojaeyga biwi ka nuqta-e-naazar ghalat nahi bul kay sahi hai. Phir aap apna nukta-e-nazar chor dein gey aur mahol pursukoon hojaeyga.

No comments:

Post a Comment