Pages

Friday, 26 August 2011

Infertility Causes - Banjhpan Ki Wajah

Apney infertility causes (banjhpan ki wajah) jannay kay liye aap apni mani (semen) ka tajziya karaein. Behter hai kay mani (semen) lab mein hi nikali jaey. Ghar sey ley janay ki soorat mein amooman result sahi nahi ata. Agar ghar sey ley jana zaroori ho to aap 15min kay ander ander isey lab mein pohncha dein. Agar aap mein kharabi hai to last result nikalney sey pehley kam az kam ek aur lab sey mani (semen) ka test karwaein. Agar donon report sey maloom ho kay kharabi aap mein hai to bhi pur sukoon rahein aur kisi achey urologist sey milein. Aaj kal aisi medicines market mein aa chuki hain jin ki madad sey iss masley ko hal kya ja sakta hai.

Agar aap kay sperm ki tadaad kam hai to following baaton sey bhi faida uthaya ja sakta hai.

  1. Cigarette noshi sperm ki dushman hai. Ek research sey pata chalta hai kay cigarette noshi sey 15% sperm kam hojaatey hain. Iss kay elwa cigarette noshi ki wajah sey sperm ovum kay ander dakhil nahi hosakta, jis ki wajah sey ovum bar awar naa hoga. Lehaza agar aap cigarette noshi kartey hain to husool-e-aulad kay liye chor dein.
  2. Sharab noshi bhi sperm kay liay nuqsan dey hai. Iss sey sperm khusoosan naazuk Y sperm mar jaatey hain. Chunancha sharab noshi bhi tark kardein. Sharabnoshi gunah e kabeera hai.
  3. Apney weight ko kam karein. Motapey ki sorat mein khusyey jism kay saath lagey rehtey hain. Jis ki wajah sey in ka darja e hararat barh jata hai aur iss sey sperm mar jatey hain research sey maloom hua hai kay motey aadmi kay khusyey ka darja e hararat nisbatan zyada hota hai jis ki wajah sey bohut sey sperm mar jatey hain.

No comments:

Post a Comment