Pages

Friday, 26 August 2011

Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohaat

Boriyat (Boredom)

Baaz Auqat jinsi kamzori ki wajah bari dilchasp hoti hai. Baaz log ek lamba arsa ek hi tariqey sey azdawaji faraiz ada kartey hain. Wohi room, wohi sathi aur wohi tariqa etc jis ki wajah sey fard boriyat mehsoos karta hai aur isski sex mein dilchaspi kam ho jati hai. Dilchaspi kam honay sey tanau (erection) bhi muta'assir hota hai.

Jinsi Amal Sey Perhaez

Agar arsa daraz tak jinsi amal sey perhaez kya jaey ya fard ko jinsi amal ka moqa na miley to bhi fard ki jinsi karkardagi mein kami aa jati hai kyun kay insan apney jin aazaa ko istemaal nahin karta unki karkardagi kam hojati hai.

Thakawat (Tiredness, Fatigue)

Aaj ka daur mehnat aur muqabley ka daur hai. Kamiyabi aur zinda rehney kay liye har fard sakht mehnat karta hai. Sakht mehnat kay baad raat ko jab woh ghar aata hai to thakawat sey choor ho chuka hota hai. Ab woh mukammal aaram chahta hai. Iss thakawat ki wajah sey aksar logon ki jinsi khwahish bhi khatam hojati hai. Jinsi khwahish ki adam mojoodgi mein tanau (erection) hasil karna mushkil hojata hai. Aisi sorat mein biwi ki khwahish per ya apni marzi sey mubaashirat (intercourse) ki koshish karta hai to woh nakam ho jata hai. Doosri bar nakami kay khauf ki wajah sey nakam ho kar mustaqil mardana kamzori ka mareez ban jata hai. Aisey fard ko aam halaat mein to tanau (erection) hota hai magar mubaashirat (intercourse) kay waqt nahi hota ya dakhool kay waqt khatam ho jata hai.

No comments:

Post a Comment