Isey yaqeen tha kay ehtilam aur mushtzani ki wajah sey woh jinsi tor per kamzor ho chuka hai. Humarey elaj sey kuch sessions kay baad woh bilkul normal ho gaya. Puri duniya mein tanau (erection) ka masla aam hai. Ek survey mein maloom hua kayAmerica mein 40 sey 70 saal kay 52% mard kabhi naa kabhi iss masley ka shikar ho jatey hain. British research kay mutabiq 40 saal sey kam umar kay 12 mardon mein sey 1 mard 40 sey 60 saal kay 5 mardon mein sey 1 aur 65 saal sey ooper 2 mardon mein sey ek ko ereciton ka masla hai. Aksar mard zindagi mein kabhi kabhar iss masley ka shikar ho jatey hain. Ek baat zehen mein rahey kay tanau (erection) ka masla koi beemari nahi bul kay yeh kisi beemari ki alamat hai. Jawani mein yeh masla taqreeban 100% nafsiyaati hota hai jab kay 50 saal kay baad zyada tar jismani. Jinsi Kamzori Ki Ahem Wajoohaat (Erectile Dysfunction Causes) Jinsi kamzori ki bohut si wajoohaat mein sey kuch ahem wajoohaat neechey di gai hain. Mushtzani Kay Nuqsanaat Ka Khauf 26 sala khoob sehatmand Imran ki shadi honay wali the. Isey shak tha kay woh shadi kay qabil nahi. Jab iss kay lashaor ki madad sey iss ka nafsiyati tajziya kya gaya to pata chala kay woh bachpan mein kabhi kabhar mushtzani kar leta tha. Iss doran mein iss nay ek pamphlet parha jis mein mushtzani kay bohut sey nuqsanaat ka zikar tha. |
No comments:
Post a Comment