Pages

Sunday, 21 August 2011

Orgasm - Sexual Climax - Sexual Pleasure - Jinsi Lutf Ki Inteha

Madina mein shuru shuru mein kay elawa doosrey tareeqey raij nahi thay. Hazrat Jabir biyan kartey hain kay yahoodion ka kehna hai kay agar koi shohar apni biwi kay peechey ki taraf reh kar (Intercourse) karey to iss surat mein bhaenga bacha paeda hoga chunancha "Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao". Agar koi chahey to peechey ki taraf reh kar bhi mubashrat kar sakta hai lekin mubashrat sirf ek rastey faraj sey honi chahiyie. (Muslim) yahoodion kay asar ki wajah sey Madina mein ansar missionary method kay elawa doosrey methods ko jaeiz nahi samajhtey thay, Yahan tak kay Quran mein ayat nazil hui. 'Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao' (Surah Baqra Ayat 223) albatta anus mein dakhool (penetration) haram hai.

(Sexual Climax)

Jinsi lutf ki intiha ko orgasm kaha jata hai. Mard aur aurat kay orgasm mein farq hai. Mard ka orgasm kay foran baad inzal (discharge) ho jata hai jab kay aurton ka mardon ki tarhan discharge nahi hota. Albatta 5% aurtein pani kharij karti hain. Mard orgasm ki hadd tak jald pohonch jata hai aur iss ka duration bhi kam hota hai aur woh jald normal halat mein aa jata hai. Jab kay aurat der sey orgasm hasil karti hai aur iss ka orgasm der tak rehta hai. Iss ko normal honay mein bhi zyada waqt lagta hai. Ek bara farq yeh hai kay mard taqreeban har bar orgasm hasil kar leta hai jab kay sirf 30% aurtein har bar orgasm hasil karti hain. 10% kabhi orgasm hasil nahi kartiin. Unko nafsiyati elaj aur baaz auqat operation ki zarorat part

No comments:

Post a Comment