Pages

Friday, 5 August 2011

Dard Kay Baghaer Bachey ki Paeda'esh

Shaadi kay ba'ad aurat ki sab sey bari khwahish yeh hoti hai kay woh jald maa'n baney ek taraf usey bachey ki shadeed khwahish hoti hai doosri taraf paeda'esh kay amal ka shadeed khauf. Agarcha amooman labor ka dard bohut takleef deh nahin hota magar iss dard ka khauf la'shaoori tor per nasal dar nasal muntaqil hota aa raha hai iss khauf ki wajah sey kuch khawateen haamla nahin hotiin aur bohut si haamla 9 mahiney isi khauf ka shikaar rehti hain jis ki wajah sey woh depression aur tashweesh mein mubtala ho jati hain. Inn mein sey bohut si khawateen ka blood pressure buland ho jata hai jis ki wajah sey hamal aur zichgi mein paecheedgiyan paeda ho jati hain hamal kay doran mein maa'n ki zehni kaifiyat bachey kay zehen aur nafsiyat ko bohut muta'assir karti hai. Isi liye kaha jata hai kay hamal kay doran main maa'n ko har fikr sey azaad ho kar hashaash bashaash aur khush o khurram rehna chahiyie lekin woh bohut si maa'ein jo hamal kay doran mein khauf ka shikar rehti hain unki yeh zehni kaifiyat unn kay bachon ki shakhsiyat ki normal mein bohut bari rukawat hoti hai jis ki wajah sey yeh bachey barey ho kar bohut sey nafsiyati masail ka shikar ho jatey hain.

Taqreeban 50% aurtein hamal kay foran ba'ad matli mehsoos karti hain, ba'az ko ultiyan aaney lagti hain nateejatan unko hospital mein daakhil hona parta hai teen mein sey do khawateen ko seeney mein jalan mehsoos hoti hai ba'az khawateen ko qabz ki shikayat ho jati hai hamal kay doran bey khwabi ka masla bhi aam hai bohut si khawateen jismaani thakawat aur tension mehsoos karti hain inn tamam masail kay hal kay liye adviyat

No comments:

Post a Comment