Pages

Friday, 5 August 2011

Zakar Ki Kamzori Ki Alamat

Woh aurtein jin kay hath gudaaz hotey hain unn kay hath ki naliyan nazar nahin aatiin to kya unn kay hath mardon kay hathon sey zyada taqatwer hotey hain. Zahir hai kay aisa nahin. Lehaza zakar ki naliyon ka nazar aana bhi koi beemari nahi aur na hi koi fard iss sey jinsi tor per kamzor hota hai. Albatta khusya dani (scrotum) ki naliyan agar bohut zyada numayan hon to yeh ek beemari Varicose hai jis sey kuch logon ko ho sakta hai magar lazmi nahin. Iss surat mein kisi achey urologist sey mashwara kiya jaey.

Zakar Per Massey

Kisi bhi sehatmand insaan kay jism kay kisi bhi hissey per massey nikal saktey hain. Aam haalaat mein hum iss kaifiyat sey pareshan nahin hotey khwah yeh massey chehrey per hi kyun na hun. Isi tarah zakar per masson ka namoodaar hona bhi aam si baat hai na kay koi beemari. Yeh massey jinsi salahiyat per kisi tarah sey asarandaz nahin hotey, lekin la ilmi ki wajah sey aam naujawan inn masson per pareshan ho jatey hain. Yeh massey aasani sey nikaley ja saktey hain aur agar na bhi nikaley jaei'n to bhi koi harj nahin.

Zakar Per Sakht Gatthey Parr Jana

Amooman adherh umer kay ba'az logon kay zakar mein sakht qism kay gatthey ya gaanthein ban jati hain, yeh ek beemari hai jis ka pehli baar zikr ek French surgeon ney kya. Inn ki wajah sey zakar ka tanau muta'assir hota hai.

No comments:

Post a Comment