- Baalak pan (Infants)
- Bachpan (Childhood)
- Baloghat (Puberty)
Baalak pan ka aaghaz bachey ki paeda'esh sey hota hai. Sehat mand bacha amooman 280 din kay ba'ad paeda hota hai. Baalak pan mein bachey kay qadd aur wazen mein bohut taezi sey izafa hota hai. Paeda'esh kay waqt ek sehat mand bachey ka weight 6 ta 9 pounds hota hai aur qadd taqreeban 18 inches kay lug bhug hota hai. Pehley saal kay aakhir tak wazen mein 3 guna aur qadd mein 40% kay hisab sey izafa ho jata hai. Doosrey saal mein bachey ki nashaunuma qadrey sust ho jati hai jo agley 2 saal mein mazeed sust ho jati hai. Ma'aroof mahir e nafsiyat Watson kay mutabiq 2 saal ki umer mein bachey ka average qadd 32,33 inches aur wazen 27 pounds ho jata hai jab kay 5 saal ki umer mein bachey ka qadd paeda'esh kay waqt sey do guna aur wazen 5 guna ho jata hai. Bachon ki jismani nashaunuma per jinsi ikhtilafaat ka asar numaya'n hota hai, paeda'esh kay waqt male bacha qadd, wazen aur jisamat kay lehaz sey female bachey sey bara hota hai. Yeh farq baalak pan kay poorey arsey mein qa'em rehta hai.
No comments:
Post a Comment