Pages

Friday, 5 August 2011

Less Erection - Tanau Mein Kami Jinsi Kamzori Ki Alamat

Aurat ki jinsi taskeen kay liye zakar kay sakht akrrao (hardness) ki hargiz zaroorat nahin. Hyte report sey bhi yehi sabit hua kay aurton ki aksaryat bohut sakht zakar aur zordaar jhatkon aur zarbaat (strokes) ko pasand nahin karti. Zakar ko kisi qadar sakht hona chahiyie, ta'hum iss ka koi paemana nahin. Iss ka ek hi meyar hai kay faraj mein daakhil ho jaey.

Tanau Mein Pehley Sey Kami (Less Erection) Jinsi Kamzori Ki Alamat…?

Kuch afraad jab unn ki umer 30 saal sey zyada ho jati hai to woh apney jinsi jazbaat ki shiddat mein kuch kami aur zakar kay tanau ki taaqat (strength) mein 17/18 saal ki umer ki nisbat qadrey kami mehsoos kartey hain, jo agarcha bohut ma'amooli hoti hai magar yeh afraad pareshan ho jatey hain. Jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar ka tanau aur akrrao (hardness) 15 aur 20 saal ki umer kay doran bohut zyada hota hai. Neem hakeem iss ma'amooli kami ka ba'es mushtzani ya kasrat-e-jama'a (kay barhney kay sath sath jism kay har uzu ki taqat mein kami aa jati hai. Yeh cheez khel kay maedan mein bohut numaya'n hai. Aksar khelon kay numaya'n khilarri 20/25 saal ki umer kay lug bhug hotey hain. Magar 25 saal kay ba'ad inn ki karkardagi (strength) pehley ki tarah nahin rehti. International khelon mein 30 saal sey zyada umer ka khilarri shazz hi hota hai.

No comments:

Post a Comment