Jawani mein kharij honay wali mani (seminal fluid) ka colour bilkul white hota hai magar age kay sath sath mani (semen) ka colour change ho jata hai aur iss ka colour white sey halka peela ho jata hai. Research sey sabit hua hai kay mani (semen) kay colour ka kay sath hargiz koi ta'alluq nahi aur na hi yeh koi beemari hai. Lehaza mani (semen) kay colour mein tabdeeli mardana kamzori ki alamat nahi. (Koth Ram)
Mani (semen) Mein Khoon Ya Pus Ana:
Baaz auqat insan ki mani (seminal fluid) mein khoon ya pus shamil hoti hai. Iss ki bari wajah prostate gland aur seminal vesicles ka infection, inflammation aur congestion hoti hai. Iss kay elawa trauma aur urethritis ki wajah sey bhi mani (seminal fluid) mein khoon aur pus aa jata hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey elaj karwaein. (Kothari)
Jiryan / Dhat Syndrome:
Jiryan sey murad amooman woh white material liye jata hai jo peeshab ya rafa e hajat kay baad ya pehley mard kay penis sey kharij hota hai. Neem Hakeem isey ek bohut hi khatarnak jinsi beemari qarar detey hain jis kay bohut sey nuqsanat hain.
No comments:
Post a Comment