Pages

Friday, 5 August 2011

Internet Chatting And Phone Friendship

Aaj kal jinsi beyrahravi ki ek ahem wajah internet chatting aur phone per gupshup hai. Bohut sey afraad ek planning kay tehet bholi bhali bachiyon ko warghalatey hain, maan baap ko chahiyie kay koshish karein kay ghar mein jawan bachiyan phone attend na karein bul kay koi mard ya bari umr ki khatoon phone sunein. Iss tarah internet istaemal karney waley bachon ki nigraani ki jaey ta'kay woh iska ghalat istaemal na kar sakein. Amooman larkey larkiyan ban kar larkiyon sey gupshup kartey hain aur phir waqt per larki ko asli soorat-e-haal sey aagah kartey hain. Ab inn haalaat mein larki kay liye peechey hutna mushkil ho jata hai iss tarah paesha war aurtein naujawan larkonka shikar karti hain.

Doosri Soorat

Mard ka mard kay sath mubashrat karna, isko qom-e-loot ka amal (homosexuality) kaha jata hai. Islam mein fa'el aur maf'ool donon kay liye sakht saza hai. Ek barey gunah kay elawa aaj kay daur mein yeh amal AIDS aur doosri jinsi beemariyon kay phaelney ki ek bohut bari wajah hai. Yeh amooman bachpan sey shuru hota hai. Amooman fa'el aur maf'ool qareebi dost ya aziz hotey hain. Aksar fa'el bari umer ka hota hai jis ki wajah sey woh kam umer rishtey daar ya dost ko behla phusla kar ya dara dhamka kar yeh kaam karta hai. Iss kay elawa woh naujawan jo ikatthey sotey hain chahey woh sagey bhaee hi kyun nah un, ba'az auqaat iss ka shikar ho jatey hain. Merey paas iss tarah kay kaee case aatey hain jahan ek bhaee ney doosrey bhaee sey budfaeli ki. Iss sey bachney kay liye zaroori hai kay waladaen chotey bachon ki nigraani karein. Inn ko barey bachon kay sath akela na honey dein.


No comments:

Post a Comment