Pages

Friday, 5 August 2011

Sex Education And Islam - Islami Jinsi Talim

Aur yeh bhi haqeeqat hai kay bachey ko agar sahi zaryey sey malumat na milein to phir woh galat aur tabah kun zaryey sey gumraah kun malumat hasil karta hai aur inhi malumat ka asar hai kay naujawan tabqa jinsi aur akhlaqi tor per tabahi kay kinarey per khara hai.

Humarey khayal mein bachon ko ghar hi sey miley. 9/10 saal ki umer mein maan beti ko aur baap betey ko yeh ta'aleem deni shuru kardey. Research sey sabit ho chuka hai kay bachey walaedaen sey jinsi malumat hasil karney ko tarjeeh detey hain. Iss liye yeh baat bey hudd zaroori hai kay walaedaen khud Quran o sunnah aur jadeed tehqeeq ki roshni mein taza aur sahi ma'aloomat hasil karein ta'kay woh agli nasal ko yeh ma'aloomat muntaqil kar kay ek pursukoon aur behter mua'ashirey ki bunyaad rakhein. Walaedaen kay elawa teachers ko bhi yeh malumat hasil karni chahiyien ta'kay woh hasb e zaroorat bachon ki rehnumaee kar sakein.

Yeh talim bachon ko ek dum nahin bul kay marhala waar milni chahiyie ta hum shaadi sey pehley ki takmeel ho jani chahiyie. Iss talim mein bachon ko apney jismani a'aza (anatomy) aur unn kay functions (physiology) kay hawaley sey malumat fraham ki jaein. Iss kay elawa mubashrat, halal, haram, hamal, paeda'esh aur waghaera kay hawaley sey malumat dii jaein. Khusoosan jins kay hawaley sey jitney mughalitey hain unn ki haqeeqat sey bachon ko aagah kya jaey.

Iss kay elawa bachon ko yeh talim o tarbiyat bhi dii jaey kay unhoney apney aap ko (sexual abuse) sey kis tarah bachana hai.

No comments:

Post a Comment