Depression mein fard shadeed afsurdagi aur udaasi mehsoos karta hai, uski neend urr jati hai, bhook khatam ho jati hai jiski wajah sey woh kamzor honay lagta hai. Iss kay elawa zehni dabau (stress) ki wajah sey fard bohut si doosri jismani beemariyon ka shikar ho jata hai. Ab tehqeeq sey sabit ho chuka hai kay nafsiyati beemariyon ki sab sey bari wajah zehni dabau (stress) hai. Iss kay elawa 50 ta 80% jismani beemariyon ki wajah bhi zehni dabau hota hai. Iss sey ulcer sey cancer tak ho jata hai. Haqeeqat yeh hai kay ehtelam kay jinsi, zehni aur jismani sehat per koi burey asraat nahin partey.
Iss ki ek aur wajah fard ki tawaqqa (expectation) bhi hai. Insaan jaisi tawaqqa karta hai waisa hi mehsoos karney lagta hai yani waisa hi ho jata hai. Ek American Dr. Norman ney ek dilchasp tajurba kya, iss tajurbey mein 10 log shamil thay. Inn mein Dr.Norman khud bhi shamil tha. 10 log ek hotel mein ikatthey huey. Dr. Norman ney unn sey poocha kay woh agley saal kis cheez ki tawaqqa kartey hain. Har fard ney apni tawaqqa ek kaghaz per likhi aur inn sab ko alaehda alaehda envelope mein bund kar diya gaya. Ek saal ba'ad yeh sab log isi hotel mein ikatthey huey, inn mein ek fard na aaya. Ek ek kar kay sab kay envelope kholey gaey har fard ney jiski tawaqqa ki thi uss nay taqreeban woh cheez hasil karli thi. Ghaer hazir fard ka envelope aakhir mein khola gaya iss mein darj tha kay humarey khandaan mein mardon ki umrein zyada lambi nahin hotiin lehaza mera khayal hai kay mein agley saal tak zinda na rahun ga, aur woh faut ho chuka tha.
Naujawan amooman pehley musht zani shuru kartey hain, phir ehsas e gunah aur iss kay farzi asraat kay khauf sey
No comments:
Post a Comment