Amooman 1 cm. Fard kay zakar ka taerha pan koi beemari nahin, yeh ek bilkul normal, fitri amar hai. Iss wajah sey dakhool (penetration) mein koi diqqat nahin hoti. Jab kay neem hakeem isey khatarnaak beemari samajhtey hain, jis ki wajah mushtzani) ko qarar detey hain. Agar aap apni ungliyon ko akrra kar dekhein to woh bhi pencil ki tarah seedhi nahin hala'n kay innkay ander haddiyan hoti hain. Lehaza iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat hai aur na hi elaj ki. Albatta agar zakar bohut terha (45 ka zawiya) ho to yeh ek beemari hai. 'Peyronie's' hai ta'hum iski wajah bhi musht zani nahin. Yeh beemari amooman darmiyani umr kay mardon ko hoti hai. Ba'az auqaat yeh beemari achanak ho jati hai. Yani fard jab raat ko soya to woh bilkul theek tha magar jab subah jaga to zakar terha ho gaya. Iss surat mein zakar jar sey sakht aur ooper top per narm hota hai. Iss ka elaj amooman vitamin E sey kya jata hai. Aksar yeh elaj kay baghaer 6 maah tae k saal mein khud hi theek ho jata hai. Isliye elaj kay liye jaldi karney ki zaroorat nahin. Ta'hum behter yeh hai kay kisi acheydoctor sey mashwara kar lein.
Agar zakar thorey sey kuch zyada terha hai magar beemari nahin to yeh khush bakhti hai kyun kay iss surat mein ya to faraj (vagina) ki sides ko rugrrey ga jo zyada hassas hoti hain aur aurat ko zyada lutf aaey ga ya phir ko jo kay aurat ka doosra hassas tareen jinsi maqam hai jis ko rugerrney sey taqreeban 50% aurtein pani kharij karti hain.
Ek homeo doctor ney apni kitab mein likha kay zakar ka terha pan khatarnaak beemari hai jis ki wajah musht zani hai aur iss kay elaj ki zaroorat hai.
No comments:
Post a Comment