Pages

Friday, 5 August 2011

Seminal Fluid Storage

Married mard hazrat taqat aur mani (semen) ko store karney kay chakkar mein (Intercourse) sey perhaiz kartey hain. Halan kay mubashrat (Intercourse) sey perhaiz ki sorat mein insan ki mardana quwwat mein kami aa jati hai. Doosri taraf jinsi khwaish) ko musalsal dabaney sey insan kaee tarhan kay nafsiyati masail maslan lack of concentration, sleep disorder, tension, frustration aur nervousness ka shikar ho jata hai.

Jo log mulk sey bahir kam kartey hain aur saal ya 2 saal kay baad watan wapis aatey hain lamba arsa mubashrat (Intercourse) sey mehroom honay ki wajah sey inn afraad ki jinsi khwahish aur yani tanau (erection) mein kami ho jatey hain. Iss kay elawa yeh log ka bhi shikar ho jatey hain. Iss surat mein elaj karaney ki zarorat nahi bul kay sexual activity mein hissa leney ki wajah sey yeh problems khud ba khud solve ho jati hain. Europe aur America mein aisi daleel kay ba'is jail kay qaidion ko apni biwion sey milney ki ijazat di jati hai.

Kya Mani (semen) Ko Mehfooz Karney Sey Sehat Behtar Hoti Hai?

Na sirf aam logon bul kay hakeemon ka bhi khayal hai ka agar mani (semen) ko kharij na honay diya jaey aur iss ko safe karliya jaey to insan ki sehat achi hogi, jism mazboot hoga, age lambi hogi aur iss ki athletics ki abilities mein izafa hoga. Yani agar koi insan mani (semen) ko kharij na karey to woh super athlete ban jaey ga. Iss falsafey kay tehet hamarey yahan pehelwanon ki jald shadi nahi kari jati. Research sey iss tarhan ki koi baat sabit nahi ho saki. Lehaza yeh tasawwur bilkul ghalat hai kay mani (semen) ko safe karney sey insan rustam e zama ban jaiga. (Dastoor:Zakir:Kaiwa

No comments:

Post a Comment