Tanau ka ek hi meyar hai agar mian mubashrat kay waqt apney zakar ko biwi ki faraj mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta'hum ek baat yaad rahey kay insaani zakar kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai jo kay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau ki surat mein zakar kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki ja sakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai.
Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard (Painful Erection)
Ba'az naujawan zakar mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa zakar ka bohut zyada terha pan Peyroie's Disease hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey raabta karein.
Kamyaab Jinsi Amal Kay Liye Zakar Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai…?
Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki jinsi tasalli ( kay liye zakar ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta'ala ney zakar bohut hi narm o nazuk faraj mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta'hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka zakar tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins e mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai.
No comments:
Post a Comment