Pages

Friday, 5 August 2011

Physical And Psychological Development During Puberty

shuru nahin ho jati jo amooman pehli i kay 2 saal ba'ad hoti hai. Bohut kamzor aur dubli patli larkiyon ki mahwari ka aaghaz zara der sey hota hai.

American larkon mein baloghat ka aaghaz 2 saal ba'ad 10 ta 13 saal ki umer kay doran zer e naaf baal aaney sey hota hai. Ek saal kay ba'ad larkon kay (penis) ka size barhna shuru ho jata hai. Zer e naaf balon kay taqreeban 2 saal ba'ad larkon ki baghlon aur chehrey per baal aa jatey hain. Zer e naaf baalon kay taqreeban 1.5 saal ba'ad 13 ya 14 saal ki umer mein larkon ko pehley inzal ka tajurba hota hai iss sey pehley jinsi suroor to tha magar inzal na tha. 15 saal ki umer mein mani mein mojood pakhta (mature) ho jatey hain jis sey bacha paeda ho sakta hai. Amooman pehley inzal jo kayahin kartey unn ka pehla inzal ehtelam hota hai. (Hyde)

Jismani tabdeeliyon kay elawa zehni aur nafsiyati tabdeeliyan bhi aati hain. Bachey bey ja khauf aur wahem ka shikar ho jatey hain. Unn ki jazbati zindagi per jinsi khwashihat ( hawi ho jati hain. Jins e mukhalif ki shadeed kashish mehsoos hoti hai. Iss daur meini (sexual perversion) ka shadeed khatra hota hai. Iss umer mein bacho'n ko walaedaen ki mohabbat aur rehnumaee ki zyada zaroorat hoti hai.

No comments:

Post a Comment