Zakar Ka Size (Size of penis)
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya, baap ney bataya kay iss kay betey ko koi masla hai. Naujawan bohut khaufzada aur ghabraya hua lag raha tha. Meine walid ko kamrey sey janey ko kaha ta'kay mein bachey sey khul kar baat kar saku'n. Ju'nhi walid kamrey sey baher nikla, betey ney foran apni shalwar khol di aur bataya kay uska zakar bohut chota hai, jiski wajah sey woh apni biwi ko mutma'en nahin kar sakey ga. Uski jald shadi honay wali thi.
Mardon mein zakar kay hawaley sey bohut sey khadshaat aur ghalat fehmiyan (misconceptions) paee jati hain. Aksar mard apney zakar ki shakal, size, saakht aur motaee kay hawaley sey bohut hassas (concious) hain. Sab sey pehley lambaee ko letey hain.
Jis tarah saarey mard qadd kay lehaz sey baraber nahin yani unn kay qadd mein farq aur ikhtilaf hai, isi tarah unn kay zakar ka size ek jaisa nahin. Kisi ka zakar bara aur kisi ka chota. Zakar ki lambaee ka fard kay qadd kaath kay sath koi ta'alluq nahin. Iss silsiley mein America mein ek survey hua to ma'aloom hua kay sab sey lamba zakar uss fard ka tha jis ka qadd ausat (average) sey kam tha. Mera ek client jiska qadd 6 feet sey zyada tha, kay zakar ka size aam logon sey kam tha.
No comments:
Post a Comment