Jiryan kay hawaley sey mukhtalif logon ney ghalat fehmiyan phaelaee hui hain jin ka haqeeqat kay sath koi ta'alluq nahi.
Homeo doctor Ali Asghar Choudri apni book mein farmatey hain kay jiryan sey:
- Dimagh kamzor ho jata hai. Parhney ko dil nahi chahta aur parhney kay bawajood kuch yad nahi hota.
- Eye sight kamzor honay lagti hai.
- Nerves kamzor hojati hain. Tarhan tarhan kay khouf tari ho jatey hain. Zara zara si baat per ghabrahat hoti hai. Dil dharakta hai aur eyes kay aagey andhera aajata hai.
- Chusti chalaki khatam hojati hai. Chehra bey ronaq ho jata hai. Badan sust aur kamzor honay lagta hai. Zara si mehnat mushaqqat per badan thak kay choor ho jata hai.
- Kisi kam ko dil nahi chahta.
- Legs aur kamar mein dard honay lagta hai.
- Susti aur udasi cha jati hai.
- Mezaj mein chirchira pan paeda honay lagta hai.
No comments:
Post a Comment