Meine inn ko khat likha "doctor sahib aap apni shalwar utarein aur eeman dari sey dekhein kay kya aap ka zakar bilkul seedha hai" abhi taki jawab nahin aaya.
Zakar Kay Ooper Ubhri Rugein
Fard kay zakar mein tanau tab paeda hota hai jab uski khoon ki naliyan khulti hain aur zyada miqdar mein khoon inn naliyon mein dorta hai aur doosri taraf nisbatan kam khoon baher nikalta hai iss wajah sey khoon ki yeh naliyan numayan ho jati hain aur phool jati hain. Yeh naliyan jitni zyada khulein gi itna hi zyada khoon inn mein daakhil ho ga aur nateejatan tanau itna hi zyada aur jald hoga. Yeh ek bilkul normal aur mufeed kaifiyat hai. Neem hakeemon ki wajah sey naujawanon ki aksaryat isey bhi khatarnaak beemari aur kharabi samajhti hai. Iss ki bari wajah musht zani bataee jati hai jab kay iss ki koi haqeeqat nahin kyun kay woh afraad jinhoney kabhi musht zani nahin kii unn kay zakar ki naliyan bhi ubhri hoti hain.
Darasal jism kay har hissey mein jild kay neechey khoon ki naliyan (veins) hoti hain. Jism kay jin hisson mein charbi hoti hai wahan yeh saaf nazar nahin aatiin jaisey bazu waghaera magar jahan charbi nahi hoti wahan yeh saaf nazar aati hain. Zakar kay elawa hath ki pusht per bhi yeh naliyan amooman saaf nazar aati hain. Ba'az logon ki yeh naliyan zyada numayan hoti hain aur ba'az ki kam. Jin kay hathon ki naliyan zyada numayan hoti hain kya unn kay hath zyada kamzor hotey hain.
assalam alaikum if u have any sex issue men,s and women,s u can freely contact with me , mukamal tashkhes ke bad dawa recommended ke jaye ghe,03144055312
ReplyDelete